Toote hue dilo ki dua mere sath hai,
Duniya teri taraf hai, khuda mere sath hai,
Aawaz ghunghruwo ki, nahi hai to kya hua,
Saagar ke tootne ki sada mere sath hai,
Tanhai kisko kehte hai, mujhe pata nahi,
Kya jane kis haseen ki dua, mere sath hai.
Sochta hu use neend bhi aati hogi,
Ya meri tarah faqat ashq bahati hogi,
Is jamee par bhi hai shailaab meri ashqo se,
Mere matam ki sada arsh hilati hogi,
Hoti hogi mere bose ki talab me pagal,
Jab bhi zulfo me koi phool sajati hogi,
Dil ki masoom ragen khud hi sulagti hogi,
Jyo hi tasveer ka kona wo jalati hogi
Is baar bhi baaris khoob hui,
Aur badal toot ke barsa tha,
Galiyan kooche jal thal thi,
Par soch ka dariya pyasa tha,
Band darwajo ke seeso par, jab boondon ne dastak di,
Ehsaas hua tum aaye ho, andaaz tumhare jaisa tha.
Haqeeqat ban ke mara pyar, Mere samne aaya hai,
Samajh me nhi aata ki kya karu,
Nazar utha kar deedar karu, ya nazar jhuka kar salaam karu,
Ya aagosh me lekar unhe pyar karu.
Ek naam kya likha tera saahil ki rait par,
Fir umr bhar hawa se meri dusmani rahi.
Kya hu mai aur kya samajhte hai,
Sab raaz nhi hote batane wale,
Kabhi tanhaiyo me aakar dekha hai,
Kaise rote hai sabko hasane wale.
No comments:
Post a Comment