No Copy

Usne.........likh ke bheja

Maine use ek ishara kiya,
Usne salaam likh ke bheja,
Maine poocha tumhara naam kya hai,
Usne aaftab likh ke bheja,
Maine poocha tumhe kya chahiye,
Usne poora aasmaan likh ke bheja,
Maine poocha kab miloge,
Usne qayamat ki shaam likh ke bheja,
Maine poocha kisse darte ho,
Usne mohabbat ka anjaam likh ke bheja,
Maine poocha tumhe nafrat kisse hai,
Usne mera hi naam likh ke bheja.

No comments:

Post a Comment